Matam karlo ahle aza lab pe taqi ke tha nawha
Shahe qurasan ka hai gham Aaj raza ka hai matam
1. Chaayi jaha pe gham ki ghata ;
Aaj bichaalo farshe aza
Aankh taqi ki hai purnam ;
Aaj raza ka hai matam
2. Aaj taqi ko do pursa ;
Baap ke gham me aye beta
Gham me nikaljaaye na dam ;
Aaj raza ka hai matam
3. Roye bete bhai bahan ;
bole taqi ba ranjo mehan
Margaye baba rahgaye hum ;
Aaj raza ka hai matam
4. Fathema deti hai ye sada ;
bhai hua hai hum se juda
Marke mitega ab ye gham ;
Aaj raza ka hai matam
5. Khaak udhati hai zahra ;
khabr me kahte hai maula
Kaisa hai ye ranjo alam ;
Aaj raza ka hai matam
6. Zaher ka tha anwar ye asar ;
girta tha tukde hoke jigar
Nikla pisar ke aage dam ;
Aaj raza ka hai matam